hoñToñ pe kabhī un ke mirā naam hī aa.e aa.e to sahī bar-sar-e-ilzām hī aa.e
hairān haiñ lab-basta haiñ dil-gīr haiñ ġhunche ḳhushbū kī zabānī tirā paiġhām hī aa.e
lamhāt-e-masarrat haiñ tasavvur se gurezāñ yaad aa.e haiñ jab bhī ġham-o-ālām hī aa.e
tāroñ se sajā leñge rah-e-shahr-e-tamannā maqdūr nahīñ sub.h chalo shaam hī aa.e
kyā raah badalne kā gila ham-safaroñ se jis rah se chale tere dar-o-bām hī aa.e
thak-hār ke baiThe haiñ sar-e-kū-e-tamannā kaam aa.e to phir jazba-e-nākām hī aa.e
baaqī na rahe saakh 'adā' dasht-e-junūñ kī dil meñ agar andesha-e-anjām hī aa.e