Dono jahan teri mohabbat mein haar ke vo ja raha hai koī shab-e-gham guzar ke vīrañ hai mai-kada ḳhum-o-saghar udaas hain tum kya ga.e ki ruuTh ga.e din bahar ke ik fursat-e-gunah milī vo bhī chaar din dekhe haiñ ham ne hausle parvardigar ke duniya ne terī yaad se begana kar diya tujh se bhī dil-fareb haiñ ġham rozgar ke bhule se muskura to diye the vo aaj 'faiz' mat pūchh valvale dil-e-na-karda-kar ke
top of page
bottom of page