top of page

hoñToñ pe kabhī un ke mirā naam hī aa.e aa.e to sahī bar-sar-e-ilzām hī aa.e


hairān haiñ lab-basta haiñ dil-gīr haiñ ġhunche ḳhushbū kī zabānī tirā paiġhām hī aa.e

lamhāt-e-masarrat haiñ tasavvur se gurezāñ yaad aa.e haiñ jab bhī ġham-o-ālām hī aa.e


tāroñ se sajā leñge rah-e-shahr-e-tamannā maqdūr nahīñ sub.h chalo shaam hī aa.e

kyā raah badalne kā gila ham-safaroñ se jis rah se chale tere dar-o-bām hī aa.e


thak-hār ke baiThe haiñ sar-e-kū-e-tamannā kaam aa.e to phir jazba-e-nākām hī aa.e

baaqī na rahe saakh 'adā' dasht-e-junūñ kī dil meñ agar andesha-e-anjām hī aa.e

  • Writer: AJ
    AJ
  • Jan 24, 2023
  • 1 min read

Updated: Jan 24, 2023

Log Nazron Ko Bhi Parh Lete Hain, Apni Aankhon Ko Jhukaye Rakhna. लोग नज़रों को भी पढ़ लेते हैं, अपनी आँखों को झुकाए रखना।

Khwaab Lafzo Mein Nahi Dhalte, Kaash Aankhein Parha Kare Koi. ख़्वाब लफ्जों में नहीं ढलते, काश आँखें पढ़ा करे कोई।

Reh Gaye Lakhon Kaleja Thaam Kar, Aankh Jis Janib Tumhari Uth Gayi. रह गये लाखों कलेजा थामकर, आँख जिस जानिब तुम्हारी उठ गई।

Khuda Toh Uski Aankhon Mein Tha, Hum Khamkhan Aayatein Parhte Rahe. खुदा तो उसकी आँखों में था, हम खामखाँ आयतें पढ़ते रहे।

ShayariRadio

shayariradio.com

©2022 by Shayari Radio. Proudly created by AJ

bottom of page