top of page

Kis Kis Ka Naam Lein Apni Barbadi Mein, Bahut Log Aaye The Duayein Dene Shaadi Mein.

Shaadi Karne Waale Kyon Fatey Mein Pair Fansaya, Bazaar Mein Doodh Kya Kam Tha Jo Bhains Khareed Ke Laya?


Biwi Bhi Hak Jatati Hai Maa Bhi Hak Jatati Hai, Shaadi Ke Baad Aadmi Kashmir Ho Jata Hai.


Maaf Karo Parmeshwar Yeh Bhaari Bhool Humari Hai, Shaadi Kar Li Jis Se Humne Woh Toh Nirdhan Nari Hai.


Agar Jaldbaji Mein Shaadi Karke Jeevan Bigaad Loge, Soch Samajh Kar Karoge Toh Kaun Sa Teer Maar Loge.


किस किस का नाम लें अपनी बरबादी में, बहुत लोग आये थे दुआएं देने शादी में।

शादी करने वाले क्यों फटे में पैर फँसाया,

बाजार में दूध क्या काम था जो भैंस खरीद के लाया? बीवी भी हक जताती है, माँ भी हक जताती है, शादी के बाद आदमी कश्मीर हो जाता है ।

माफ़ करो परमेश्वर ये भारी भूल हमारी है, शादी कर ली जिससे हमने वो तो निर्धन नारी है।

अगर जल्दबाजी में शादी करके जीवन बिगाड़ लोगे, सोच समझ कर करोगे तो कौन सा तीर मार लोगे।

nasīb āzmāne ke din aa rahe haiñ qarīb un ke aane ke din aa rahe haiñ


jo dil se kahā hai jo dil se sunā hai sab un ko sunāne ke din aa rahe haiñ


abhī se dil o jaañ sar-e-rāh rakh do ki luTne luTāne ke din aa rahe haiñ


Tapakne lagī un nigāhoñ se mastī nigāheñ churāne ke din aa rahe haiñ


sabā phir hameñ pūchhtī phir rahī hai chaman ko sajāne ke din aa rahe haiñ


chalo 'faiz' phir se kahīñ dil lagā.eñ sunā hai Thikāne ke din aa rahe haiñ

dil meñ ab yuuñ tire bhūle hue ġham aate haiñ jaise bichhḌe hue kaabe meñ sanam aate haiñ


ek ik kar ke hue jaate haiñ taare raushan merī manzil kī taraf tere qadam aate haiñ


raqs-e-mai tez karo saaz kī lai tez karo sū-e-mai-ḳhāna safīrān-e-haram aate haiñ


kuchh hamīñ ko nahīñ ehsān uThāne kā dimāġh vo to jab aate haiñ mā.il-ba-karam aate haiñ


aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho dil bhī kam dukhtā hai vo yaad bhī kam aate haiñ

ShayariRadio

shayariradio.com

©2022 by Shayari Radio. Proudly created by AJ

bottom of page