Dono jahan teri mohabbat mein haar ke vo ja raha hai koī shab-e-gham guzar ke vīrañ hai mai-kada ḳhum-o-saghar udaas hain tum kya ga.e ki ruuTh ga.e din bahar ke ik fursat-e-gunah milī vo bhī chaar din dekhe haiñ ham ne hausle parvardigar ke duniya ne terī yaad se begana kar diya tujh se bhī dil-fareb haiñ ġham rozgar ke bhule se muskura to diye the vo aaj 'faiz' mat pūchh valvale dil-e-na-karda-kar ke
top of page
Recent Posts
See Allnasīb āzmāne ke din aa rahe haiñ qarīb un ke aane ke din aa rahe haiñ jo dil se kahā hai jo dil se sunā hai sab un ko sunāne ke din aa...
dil meñ ab yuuñ tire bhūle hue ġham aate haiñ jaise bichhḌe hue kaabe meñ sanam aate haiñ ek ik kar ke hue jaate haiñ taare raushan merī...
guloñ meñ rañg bhare bād-e-nau-bahār chale chale bhī aao ki gulshan kā kārobār chale qafas udaas hai yaaro sabā se kuchh to kaho kahīñ to...
bottom of page
Comments