top of page

Nasīb āzmāne ke din aa rahe haiñ

Writer: AJAJ

nasīb āzmāne ke din aa rahe haiñ qarīb un ke aane ke din aa rahe haiñ


jo dil se kahā hai jo dil se sunā hai sab un ko sunāne ke din aa rahe haiñ


abhī se dil o jaañ sar-e-rāh rakh do ki luTne luTāne ke din aa rahe haiñ


Tapakne lagī un nigāhoñ se mastī nigāheñ churāne ke din aa rahe haiñ


sabā phir hameñ pūchhtī phir rahī hai chaman ko sajāne ke din aa rahe haiñ


chalo 'faiz' phir se kahīñ dil lagā.eñ sunā hai Thikāne ke din aa rahe haiñ

Recent Posts

See All

Dono jahan teri mohabbat mein haar ke

Dono jahan teri mohabbat mein haar ke vo ja raha hai koī shab-e-gham guzar ke vīrañ hai mai-kada ḳhum-o-saghar udaas hain tum kya ga.e...

Comments


ShayariRadio

shayariradio.com

©2022 by Shayari Radio. Proudly created by AJ

bottom of page