Abhi Iss Taraf Na Nigah Kar
Main Ghazal Ki Palkein Sanwar Lu,
Mera Lafz-Lafz Ho Aayina
Tujhe Aayine Mein Utaar Lu.
Wo Thaka Hua Meri Baahon Mein Jara So Gaya Tha To Kya Hua, Abhi Maine Dekha Hai Chaand Bhi Kisi Shakh-e-Gul Pe Jhuka Hua.
Un Ke Rukh Par Haya Ki Surkhi Ka Ek Paigaam Aane Wala Hai, Bas Wo Ghabraye, Bas Wo Sharmaye, Ab Mera Naam Aane Wala Hai.
अभी इस तरफ़ न निगाह कर
मैं ग़ज़ल की पलकें सँवार लूँ,
मेरा लफ़्ज़-लफ़्ज़ हो आईना
तुझे आईने में उतार लूँ।
वो थका हुआ मेरी बाहों में जरा सो गया था तो क्या हुआ, अभी मैंने देखा है चाँद भी किसी शाख-ए-गुल पे झुका हुआ।
उन के रुख पर हया की सुर्खी का, एक पैगाम आने वाला है, बस वो घबराये बस वो शरमाये, अब मेरा नाम आने वाला है।
Comments